Na raat gaye tk khud ko jagana so jana
Tum khwab mein khud se khushiyon ka ek shehar bsana
so jana..
Din bhar ki thkawat taari ho
aur yaad kisi ki aa jaye
Takiye mein chupa kr chehra tum
Na ashk bahana
so jana..
Tum chashm-e-tasawur mein din bhar mere sath rahey ho
Ab subha milein gy,
raat mein tum
Na khud ko stana
so jana..
Ye chaand to khud hi tanha hai
Tum ko ye tasalli kya de ga?
Yun shikwa shikayet kr k na khud ko thakana
so jana. . . . . . .